Respected Mummy,
Charan sparsh !
Sorry maine aapse baat karne mein thori der kar di. Asal mein aapke saath bitae apne yaadgaar dino ko ikaththa karne mein thora time lag gaya . Lekin mujhe pata hai aap mere
letter ka besabri se wait kar rahi hongi.
Is liye is se pahele ki aap naaraaj ho jayein main shuru se shuru karti hoon. Aapke saath mera pahela interaction hamaare ghar Anand Apartment mein mera pahela day - Aapki najar mujhe har orr se parakhane ki koshish kar rahi thi. main thori si nervous chupchaap aapke paas baithi soch rahi thi ki pata nahi aap mujhse kya poochchengi. Shaayad aapne meri pareshaani bhaanp lee aur mujh se sirf ek savaal poochcha ki tumhaara favourite colour kya hai? Aur maine bola pink. Kuchch time baad mera engagement ho gaya aur phir shaadi. Aur phir aapke guidance mein aapke ghar parivaar mein mera shaandaar welcome hua. Shaadi ke baad aapke saath kuchch time rahene ka mauka mila jiski bahut saari khoobsurat yaade hai jaise mera pahela kitchen mein khana banana etc .Ek baar aapne mujhe Renu maid samajhkar bahut daatan tha aur mujhe aapse daant sunne mein bara maja aaya tha. Phir main apne nae ghar mein Bombay chali aayee.
Aur phir aaya mere Sasural mein meri shadi ke bad pahla bada khushi ka mauka - Neetu ji ki SHADI ka,. MUMMY mujhe lagta hai ki hamare parivar ka woh aakhiri sabse badi khushi ka mauka tha jahan kahin koi kami nahi thi kyunki uske bad khushiyan to bahut aayee samay samay per lekin kahin na kahin koi na koi kami ek adhurapan hum sab ne hamesha mahsoos kiya hai.Nituji ki shadi mein mujhe yaad hai ki apne aur meri Maa {dono samdhan}ne ak dusre ko Haldi lagaya tha. Phir shadi ke baad hum sab dher sari khushiya
lekar Bombay aa gaye.Bombay mein sabke saath bitaye un dino ki saikado yaade hain - jaise hamara Chowapati per ghumna, local train mein safar karna aur aapka ladies compartment mein ladkiyon ko dantana, aur to aur Papa se zid karke Regal mein "The Deep Blue Sea" dekhna, aur na jaane kitni baatein…..Mummy honestly speaking you never had any sort of health issue while at Bombay, and you were always ready for going out and enjoying with us, this was something that I only enjoyed with you and not even with my own mother.
Us dauran maine aapse different variety ka khana banana seekha, aapke saath meri pahli holi biti phir aapke guidance mein Asiad Village mein mera pehla Teez…saari yadein bilkul taaza hain. Samay gujarta gaya aur dhire dhire khushiyon ko nazar lagani shuru ho gayi. Mery life mein pahla dukh ka samay aaya jab maine apni Maa ko kho diya, phir kaise Bmbay se Delhi Asiad Village pahunchane tak maine khud ko sambhal kar rakha tha lekin aapke paas pahunch kar aapki goad men sir rakh kar mere sabra ka bandh tut gaya aur main zor zor se roney lagi, I still recall us raat aapne mujhey apne haathon se khana khilaya tha.
Same year mujhey hamari 1st wedding anniversary bhi aapke saath manane ka mauka mila, aur mujhey yaad hai ki aane mere liye saari purchasing ke liye kitna zid karke sab ko pura Thane shahar ka chakkar lagvaya tha aur ek pyari si saari khareed hi liya.
Mummy I am sorry for being too emotional, but how can I forget the day at Asiad Village jab aapke saath hum log Qutub Minar dekhne gayein aur before we could go inside mujhey chakkar aane laga and we rushed back home aur Bhaiya ne immediately doctor ko bulaya and next day we learnt that I had conceived, tab pura pariwar kitna khush hua aur sabse jyaada aap, aur jab mera miscarriage hua toh mujhse jyada aap royi thi. Mummy mujhey is baat ka zindagi bhar afsos rahega ki main aapko aapke garnd daughter & grand son ka chehra nahin dikha payi, lekin Armanika ka birth jin paristhitiyon mein hua woh aapke aashirwaad ke siwa kucha nahin hai, Armanika is a lucky child jisey aapka birth month aur Papa ka birth date mila, mujhey yaad hai jab Armanika bahut chhoti thi toh maine ek deen sapney mein dekha ki woh aapki awaaz mein hanstey huye bol rahi hai ki – HUMKO PAHCHANI NAHIN, HUM MUMMY HI HAIN, tab maine ye baat sabko bataya bhi tha pata nahin kisine vishwas kiya ya nahin. Waise Rituji ne Bombay mein uski bahut harkate dekhi hain aapse related.
Maine zindagi mein aapko sabse jyada yaad aur miss tab kiya jab Aakarsh ka birth hua, us din sirf Papa, armanika aur yeh thein, aur sabhi bahut khush thein, Papa toh be-inteha khush thein, isko dekhney ke pahley hi Mandir chaley gaye Prasad chadhaney, aur pata hai Mummy main aapko yaad karke kaafif zor zor se ro rahi thi kyunki aapka who prashna jo aksar aap Bombay mein mujhsey karti thien ki tum kab humko pota dogi bahut yaad aa raha tha.
Mummy hum sab aapko har Khushi aur gham mein bahut yaad kartey hain, yeh baat aur hai ki Papa ne aapke baad humein aapki kami mahsus honey nahin di, unhoney akele aapki har parampara ko nibhaya hai, ek Bahu ko Saas se jo kucha milna chahiye woh har chiz aur chhoti bari batein humein sikhaya hai, aapke baad Papa ne purey pariwar ka dayitva akeley hi uthaya hai, liken hum san janate hain ki in sab ke pichey aapki hi prerna hai aur aap unkey saath hain.
Mummy thanks to Winky & Richie, ab hamari aur aapki batein hamesha hoti rahengi, bas aap hamein guide karte rahiye kyunki Papa aur aap hum sab ki prerna shrot hain.
Aapki Nidhi